Friday, October 23, 2009

pehli mulakaat........ aapke reply ka intzaar rahega......

aaj unse pehli mulakaat thi...
na jaane dono k dilo me q ghabrahat thi......

milne ki chah hume bhi thi unhe bhi thi...
pr na jaane q dilo me dar ka ahsaas tha...

waqt kareeb aata gaya milne ka...
dhakane tezi se badhne lagi....

kher fir bi mile hum dono ...
pr us waqt sab saath the.....

humne nazar utha k unhe dekhna chaha...
to unki jhuki nazro ne na jaane kya keh diya...

hum unhe dekh hi rahe the ki....
acchanak palko ka utna or....
sharma k jhuk jaana.....
hayeeee unki is kaatil ada ne hume maar daala....
dosto ek chota sa nazraana hai pasand aaye to bataaiyega.............
kisi k ahsaaso ko labjo me sajaya hai.....

sab paas the to unse kuch baat na hui....
pr unse nazre milna hi humare liye khaas hui....

waqt kareeb tha unse judaai ka....
unki nazro ne dekha to laga ki aakho me nami thi.....
aaj kisi ki zindagi me shayad humari bhi kami thi....

jaate waqt unke haato ka sparsh hi kaafi tha......
unki vo jhuki nazro ka sharma hi kaafi tha....
vo haya vo adaa ......vo ghabrahat....

humare liye to sharab ki jaroorat nahi...
yaroo unki ...is haya ada ka nasha hi kaafi tha..........
nasha hi kaafi tha.................

No comments:

Post a Comment

FRND "GOD AGR APSE KAHE DOSTI AUR PYAR ME EK CHIJ MANGO TO AP KYA MANGO GE???